383 SMS Poems!
Posted On Monday, April 21, 2008 at at 10:16 PM by PatDill Main Na Ho Jurrat Tu Mohabbat Nahi Milti
Khairaat Main Itni Bari Doulat Nahi Milti
Kuch Log Yoon Hi Sheh'r Main Hum Sey Bhi Khafa Hain
Har Aik Sey Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti
Dekha Tha Jisey Main Nay Koi Aur Tha Shaiyad
Wo Koun Hay Jis Sey Teri Sourat Nahi Milti
Hanstey Howe Chehroo.N Sey Hay Bazaar Ki Zeenat
Roney Ko Yahan Waise Bhi Fursat Nahi Milti
2.
Raastay Khud Hi Tabahi K Nikalay Humnay ,
Kar Diya Dil Kisi Patthar K Hawalay Humnay ,
Haan!! Hume Maalum Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro,
Apna Hi Ghar Jala K Dekhay Hai Ujjalay Humne..
3.
Naksh Kuch Mitte Rahe Kuch Sooratein Banti Raheen,
Ranj Ki Beshi Kabhie Se Raahatein Banti Raheen,
Mera Sarmaayaa Umeedon Ke Sivaa Kuch Bhi Na Thaa,
Kuch To Yaadein Ban Gayeen Kuch Hasratein Banti Raheen.
4.
Woh Hamare Nahi Toh Kya Ghum Hai
Hum Toh Unhi Ke Hain Yeh Kya Kam Hai.
Na Gum Kam Hain Na Aansu Kam Hain
Dekhte Hain Rulane Wale Mein Kitna Dam Hai
5.
Kasoor Na Unka Tha Na Hamara,
Hum Dono Hi Rishto Ki Rasam Nibhate Rahe,
Woh Dosti Ka Ehsaas Jatate Rahe,
Hum Mohabbat Ko Dil Me Chhupate Rahe.
6.
Hum Ruthe To Kiske Bharose,
Kaun Hai Jo Aayega Hume Manane Ke Liye,
Ho Sakta Hai Taras Aa Bhi Jaye Aapko,
Par Dil Kaha Se Laau Aapse Ruth Jane K Liye.
7.
Sirf Chahne Se Koi Baat Nahi Hoti,
Suraj Ke Samne Kabhi Raat Nahi Hoti,
Hum Chahte Hai Jinhe Jaan Se Bhi Jyada,
Wo Samne Hai Par Baat Bhi Nahi Hoti.
8.
Ghamo Main Rehte Rehte,
Khushi Ka Tarana Bhool Gaye,
Teri Yaad Main Aansu Bahate Bahate,
Hum Muskurana Bhool Gaye.
9.
Gamo Mai Bhi Muskurana Chahta Hu Mein,
Tumhe Bhulake Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hu Mein,
Magar Na Jane Kyun Nikal Ate Hai Ashoo,
Jab Bhi Tumhe Bhulana Chahta Hu Mein.
10.
"Roz Subha Khud Say Ek Wadah Kartay Hain
Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain"
11.
"Beymaainay Hotay Hain Woh Lamhay Jub Tum Paas Nahi Hotay
Lagtaa Hai Mujhay Aisay Ke Zindagi Tehr Gayee Ho Jaisay
Aasman Bhi Beyrounuq Sa Lagtaa Hai Mujhay Ke
Kisi Nay Chand Taaron Ki Roshni Chura Lee Ho Jaisay"
12.
"Sitaron Ke Bagher Asmaan Mein Rakha Hai Kia?
Bin Teray Jeenay Mein Rakha Hai Kia?
Lagta Hai Sub Kuch Adhoora Adhoora Sa
Khushi Ke Baghair Hansnay Mein Rakha Hai Kia?"
13.
Kabhi To Ki Hogi Suraj Ne Chand Se Mahobbat,
Tabhi To Chaand Me Daag Hai,,,
Mumkin Hai, Chaand Ne Ki Hogi Bewafai,
Tabhi To Suraj Me Itni Aag Hai !!!!!!!!
14.
Dhoka Diya Tha Jab Tune Mujhe,
Zindgi Se Main Naraaz Tha,
Socha Ki Dil Se Tujhe Nikaal Du,
Magar Kambkhat Dil Bhi Tere Pass Tha...
15.
Jakham Aisa Diya Ke Koi Dwa Kaam Na Aayi
Aag Aisilagai Ke Paani Se Bi Bhuj Naa Paayi
Aaj Bhi Rote Hai Hum Unki Yaad Mein
Jinhe Hamari Yaad Aaj Tak Naa Aayi
16.
Pass Aakar Sabhi Door Chale Jate Hain,
Akele The Hum Akele Reh Hi Jate Hain
Is Dil Ka Dard Dikhayein Kise
Marham Lagane Wale Hi Zakm De Jate Hain
17.
Unki Mohabbat Ka Abhi Nishan Baaki Hai,
Naam Labh Par Hai Jaan Baaki Hai,
Kya Hua Agar Dekh Kar Mooh Fer Lete Hain,
Tasalli Hai Ki Abhi Sakal Ki Pehchaan Baaki Hai!!
18.
Ghum Utha Loonga To Aur Sanwar Jaaunga...
Main Teri Zulf Nahi Hoon Jo Bikhar Jaaunga...
Jo Bhi Chahe Bina Maange De Dena Mujhko...
Haanth Failaunga To Nazaron Se Utar Jaaunga.....
19.
Kisi Mod Par Hum Aapko Khone Nahi Denge,
Juda Hona Chaho To Bhi Hone Naho Denge.
Chandani Rato Me Aayegi Meri Yaad,
Meri Yaad Ke Woh Pal Aapko Sone Nahi Denge...
20.
Ret Me Naam Kabhi Likhte Nahi,,,
Ret Pe Likhe Naam Kabhi Tikte Nahi,
Tumne Hume Patthar Dil To Keh Diya
Par E Dost Patthar Pe Likhe Naam Kabhi Mitate Nahi !!!!!!!!!!!
21.
Nakarate Shikayat Zamane Se Koi,
Agar Manane Se Maan Jata Koi.
Kisi Ko Kyon Yaad Karata Koi ?
Agar Bhulane Se Bhul Jaata Koi…..!!!!!!!
22.
"Jitna Tum Ko Chaaha Tha Hum Nay
Utnaa Kisi Ko Chaah Na Sakay
Socha Tha Bhool Jaaingay Kabhi Na Kabhi
Lekin Najaanay Kyoun Bhulaa Na Sakay
Honton Nay To Chupa Liye Armaan Dil Ke
Lekin Ankhon Say Chupa Na Sakay
23.
Nakaam Si Koshish Karte Hai,
Hum Unse Ulfat Kiya Karte Hai..
Taqdir Me Ek Tuta Tara Nahi Likha,
Aur Ek Hum Hai, Ki Chaand Ki Aarzoo Kiya Karte Hai...
24.
Har Ashq Ka Matlab Gam Nahi Hota,
Duriyo Se Pyar Kam Nahi Hota,
Waqt Bewaqt Ho Jati Hai Aankhein Nam,
Kyonki Yaado Ka Koi Mausam Nahi Hota.
25.
Na Khawabo Me Dekha, Na Nazro Me Dekha,
Hazaro Me Humne Ek Tumhi Ko Dekha,
Gum Dene Wale To Har Pal Hai Yaha,
Har Pal Khushi Dene Walo Me Ek Aapko Hi Dekha.
26.
Teri Yaad Me Aasuo Ka Samandar Bana Liya,
Tanhai Ke Saher Me Apna Ghar Bana Liya,
Suna Hai Log Pujte Hai Patther Ko,
Is Liye Dil Apna Patther Bana Liya.
27.
Kabhi Hasaney Ki Kabhi Rolaney Kii
Achii Aadat Hai Yeh Zamaney Kii
Merey Is Dil Ko To Rona Bhi Nahi Aata
Tumhi Koi Surat Karo Isey Rulaney Kii
28.
Kismat Ruk Gayi, Dil Ke Taar Toot Gaye
Wo Bhi Rooth Gaye, Sapne Bhi Toot Gaye
Khazaane Mein The Sirf Do Aansu,
Jab Yaad Aayi Aapki, To Wo Bhi Lut Gaye....
29.
Hum Dosti Ka Farz Yunhi Nibhate Rahenge,
Waqt Bewaqt Apko Satate Rahenge,
Duva Karo Umar Lambhi Ho Hamari,
Varna Yaad Bankar Apko Zindagi Bhar Rulate Rahenge.
30.
Kitne Parvane Jale Raaz Ye Pane Ke Liye
Shamma Jalne Ke Liye Hai Ya Jalane Ke Liye?
Ronewale Tujhe Rone Ka Saliqa Bhi Nahi
Ashq Pine Ke Liye Hai Ya Bahane Ke Liye?
Aaj Kah Dunga Shab-E-Gum Ki Shararat Unse
Roz Aa Jati Hai Kambaqt Satane Ke Liye
Humko Maloom Tha Aap Ayenge Mere Ghar Lekin
Khud Chala Aya Hoon Yaad Dilaneke Liye
31.
Kab Ki Pathar Ho Chuki Hein Ye Meri Aankhein Magar
Chhooke Jab Dekha To Haath Geele Ho Gaye
32.
Unhone Wada To Kiya Tha Khwab Me Milne Ka
Ye Hamari Badnasibi Ki Hame Nind Hi Nahi Aai
33.
Mere Is Dil Ke Reth Par Tum Chali,
Tere Un Kadmonke Nishan Aaj Bhi Hein.
Rodiye Hum Jab Ye Jana,
Hum Chale The Wahan Sirf Pathar Bikhare Hue The,
Jahan Koi Nishan Bante Nahi The.
34.
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko
35.
Yeh Jindgi Tere Bin Adhuri Hai,
Na Jaane Kyo Tere Mere Beech Yeh Duri Hai,
Sochta Hun Bhula Dun Tumhe,
Par Teri Ek Muskan Meri Kamjori Hai
36.
Kabhi Kabhi Mohabbat Mein Judaai Bhi Aati Hai,
Par Judaai Pyaar Ko Aur Bhi Gehra Bana Deti Hai,
Do Pal Ki Judaai Mein Aansoo Na Bahaa Aye Dost,
Judaai Ki Tadap Pyaar Ko Aur Pyaara Bana Deti Hai....
37.
Dil Ne To Uunki Har Baat Ko, Apne Seene Se Lagaa Liya..
Par Uunhone Jara Si Baat Par, Mujhe Nazaron Se Gira Diya..
38.
Gam Ke Mare Jo Muskuraye Hain,
Aansuoo Ko Bhi Pasine Aaye Hain,
Kya Bala Hai Khushi Nahi Malum,
Hum To Bus Naam Sunte Aaye Hai
39.
Tumhare Saath Bitaye Gaye Lamhe To Hamesha Yaad Aayenge,
Jab Bhi Dekhenge Tasveer Tumhari, Aankon Mein Aansu Bhar Aayenge,
Ek Baat Aaj Dil Se Kehte Hai Sanam,
Kabhie Kisi Haal Mein Tumko Na Bhul Payenge..
40.
Khamosh Kuch Aise Rehne Laga Haun
Jaise Jindagi Mein Kuch Raha Hi Nahi
Dil To Rota Raha Bahot
Aankho Se Ek Ashq Bhi Na Chhalka Kabhi
41.
Itna Na Chaho Ki Bhula Na Sako,
Itna Na Pass Aayo Ki Dur Ja Na Sako,
Tanhai Me Bethkar Yeh Sochte Hai Hum Ki
Na Chaho Usko Jise Tum Pa Na Sako
42.
Kuch Beete Hue Lamhon Se Mulakat Hui,
Kuch Toote Hue Sapno Se Baat Hui.
Yaad Aaye Woh Kisse Purane Jab
Aankhon Se Boondon Ke Barsaat Hui.
43.
Har Waqt Mere Saath Rehta Hai..
Bata E Dard To Rishtey Me Mera Kya Lagta Hai...
44.
Dard Ke Siva Kuch Bhi Baki Naa Raha
Dard Hume Apno Ne Itna Diya
Hum Unhe Pyar Naa Itna De Paaye
Unhone Dard Hume Jitna Diya...
45.
Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya,
Kaise Miloon Phir Aapse, Ye Phir Sawaal Aa Gaya,
Uutth To Gaye Hi The Kadam Aapke Ghar Ki Taraf,
Magar Dil Ko Aapki Dee Kasam Ka Khyaal Aa Gaya..
46.
Kat Rahi Hain Zindagi Meri Kuch Is Tarah
Jaise Paed Ki Shaakh Se Ek Pata Tuta
Jabse Gayi Ho Meri Zindagi Se Tum
Zindagi Mein Rehna Ka Maqsad Choota
47.
Is Qadar Humari Chahhat Ka Imtehan Na Lijiye
Kyun Ho Humsay Khafaa Bayaan To Kijiye
Kar Dejiye Maf Agar Hogaye Humsay Khataa
Yu Yaad Na Karke Saza Na Dijiye
48.
Mere Khushiyonko Jamane Ki Nazar Lag Gai
Tum Mere Sath Thi Pariyonki Nazar Lag Gai
Aaj Ro Raha Houn Door Hokar Tumse
Lagta Hein Mujhe Muskurane Ki Saza Mil Gai
49.
Kisi Ki Chahat Par Jine Wale Hum Na The,
Kisi Pe Mar Mitne Wale Hum Na The,
Adat Si Pad Gayi Hai Tumhe Yaad Karne Ki,
Varna Kisi Ko Yaad Karne Wale Hum Na The.
50.
Mohabbat Ke Junoon Main Aksar Aisa Hota Hai
Ghalti Kisi Ki Ho Dono Ko Tarapna Parhta Hai
51.
Zindagi Naam Hai Bas Ek Is Hi Cheez Ka
Kabhi Paa Ker Bhi Kisi Ko Khona Parhta Hai
Zakham Chahe Jitne Lagen Dil Per Magar
Na Chahte Hue Bhi Yahan Jeena Parhta Hai
52.
Ek Din Baharo Ke Phul Murja Jayenge,
Bhul Se Hum Tumhe Kabhi Yaad Aayehge,
Ehsas Hoga Tumhe Mere Pyar Ka,
Jab Bahut Dur Hum Tumse Chale Jayenge...
53.
Aaj Ka Din Bhi Gaya Hume Barbaad Karke
Bahut Roye Hai Hum Tumhe Yaad Karke,
54.
Eid Ke Din Bhi Majboor The Takdeer Se Hum
Bahut Roye Lagke Gale Teri Tasveer Se Hum!!!
55.
Aandhi Aati Hai,Toofan Chale Jaate Hain
Yaade Rah Jaati Hai,Insaan Chale Jaate Hain!!!
56.
Yaad Bhi Usski Yeh Kehti Hui Dil Se Nikli,
Aisi Ujjrri Hui Basti Me Bhala Kya Rehna !!!
57.
Iss Qadar Zarf To Rakhte Hain Zamaane Waley,
Zindagi Cheenke Jeene Ki Dua Dete Hain !!!
58.
Ansoon Ko Aankhoon Ki Dehleez Par Laya Na Karo
Apne Dil Ki Halat Kisi Ko Bataya Na Karo,
Log Mutthi Bhar Namak Liye Ghuma Karte Hain
Apne Zakhm Kisi Ko Dikhaya Na Karo!!!
59.
Shikwa Kisi Aur Se Nahi, Khud Se Hai
Pyar Kisi Aur Se Nahi, Tujhse Hai
Manzil Ke Paas Hi The, Par Milna Sake
Vaja Bhi Kya Tha Kuch Kar Na Sake
Kiska Kasoor Tha, Khuda Ne Saath Na Diya
Shayad Humse Jaltha Tha, Khamosh Reh Gaya
60.
Aaten Jaaten Wo Humhe Nishani Degayi,
Umarbhar Dohora Saku Aisi Kahani Degayi,
Usse Mein Kuch Paa Saku Aisi Kaha Thi Ummeed,
Shukar Hai Khuda Ka Wo Meri Aakhon Mein Paani Degayi.
61.
Mere Honton Ke Mehaktay Hue Naghmo Par Na Ja
Mere Seenay Main Kaye Aur Bhi Ghum Paltay Hain
Mere Chehray Par Dikhaway Ka Tabassum Hai Magar
Meri Aankhon Main Udaasi Kay Diye Jalte Hain
62.
Yadon Me Hamari Woh Bhi Khoye Hoge,
Khuli Ankhon Se Kabhi Woh Bhi Soye Hoge;
Maana, Hasna Hai Ada Gham Chhupane Ki,
Par Haste Haste Kabhi Woh Bhi Roye Hoge!
63.
Dil Mein Kuch Bhee Raha Nahin Dard Ke Siva
Ankhon Mein Kuch Raha Nahin Aansyuon Ke Siva
Aye Mere Yaar Mujhe Shod Ke Mat Jana .
.Meri Zindagi Mein Kuch Raha Nahin Teri
Mohbat Ke Siva
64.
Ateet Apne Aap Ko Kyun Dohrata Hai
Milkar Koi Phir Kyun Kho Jata Hai
Zindagi Bhar Saath Rehne Ka Vada Kyun Kiya
Jab Tumhe Sirf Bichhadna Hi Aata Hai
65.
Dukh Bhare Geet Hum Phirse Gaane Lage
Sunne Walo Ko Kuch To Sunane Lage
Bola Tha Jisne "Tum Rona Na Kabhi"
Unhi Ke Khone Par Aansu Bahane Lage
66.
Agar Bas Mei Hota To Bhul Kar Bhi Tujhe Yaad Na Karta
Har Lambha Yon Tere Intezar Mei Til Til Na Marta
Alvida Tak Na Keh Kar Gaya Tu Jate Jate
Jo Teri Hakeekat Janta To Khuda Ki Kasam Yeh Gunah Na Karta
Agar Bas Mei Hota To Bhul Kar Bhi Tujhe Yaad Na Karta...
67.
Bhulane Wale Se Koi Kah De Zara,
Is Tarah Yaad Aane Se Kya Faida
Jab Mere Dil Ki Duniya Basaati Hi Nahi,
To Khayalon Me Aane Se Kya Fayada.
68.
Mujhe Mila Bi Kya Hai Zindagee Ke Liye.
Dil Soch Ta Hai Mera Khud Khushe Ke Liye,
Kisee Se Apne Gham Ka Shikwa Kya Karoun,
Khud He Zimedar Houn Bai Basee Ke Liye.
Houtoun Pe Muskourahhat Ankhoun Me Ashq Lekar,
Main Ek Pehelee Huu Har Kisee Ke Liye.
69.
Ishq Karne K Bhi Kuch Adaab Huwa Kartey Hai...
Khuli Ankhon Mey Bhi Kuch Khuwaab Huwa Kartey Hai ...
Har Koi Ro Kar Dekhaye Yeh Zaroori To Nahin..
Khushk Ankhon Mey Bhi Selaab Huwa Kartey Hai :)
70.
Pyar Karna Koi Gunah Nahi Phir Bhi Useme Saza Hai
Dil Par Dard Rakhne Ki Koi Aur Hi Maza Hai.
71.
Mere Paas Se Woh Gujri Mera Haal Tak Na Pucha..
Me Kaise Yakin Kar Lu Ki Woh Door Jakar Ke Roi.
72.
Log Kehte Hein , Wah Kaise Shabnam Chhai Hai,
Log Kehte Hein....Wah Kaise Shabnam Chhai Hai,
Unhe Kya Maloom, Chand Ne Ro Ke Raat Bitai Hai ...
73.
Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
74.
Aane Kitne Armaan Bevajeh Aansuon Mein Dhal Jaate Hain...
Hota Hai Kabhi Yoon Bhi Ke Tabbasum Se Lub Chhil Jaate Hain ...
75.
Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi...
76.
Labon Pe Tabassum
Tho Aankhon Mein Paani
Yahi Hai Yahi Diljalon Ki Nishani
Bathaoo Main Kya Aansoon Ki Haqeeqat
Jo Samjho Tho Sab Kuch
Na Samjhe Tho Paani
77.
Har Udaasi Dil Par Chayi Hui,
Har Khushi Hai Mujse Ghabrai Hui,
Aur Kya Rakha Hai Zindagi Ke Daaman Me,
Chand Kaliya Hai Vo Bhi Murjhaai Hui
78.
Dua Toh Yaad Nahin , Bas Fakat Itna Yaad Hai,
Doo Hatheliyan Thi ,Ek Teri Thi Ek Meri Thi,
Shisha-E-Dil Todna Pada Hamein,
Intihan Mohobaat Ki Kya Batayen Yaaron ,
Ussi Ke Liye Ussi Ko Chodna Pada Hamein.
79.
Ruth Gayi Hai Mujhko Manane Waali
Ab Koi Nahi Naaz Mera Uthaane Waali
Per Jaane Kya Sonchta Hai, Yeh Khula Darwaaza
Shayad Rasta Bhool Gaya, Aaane Waaali
80.
Wo Sar Se Pehle Zuban Kaat Lya Karte Hain
Ke Khuda Se Na Kare Koi Shikayat Unki
81.
Woh Judai Ka Gham De Gaye Hum Yadon Ke Sahare Ji Lete
Woh Bhul Janeka Kasam De Geye!!
82.
Tumhare Kadmo Ke Nishan Per, Hum Ajj Bhi Khare Hai
Aa Jao Sambhal Lo Hume, Hum Ab Larkharrane Lagy Hai
83.
Aaghaz To Hota Hai Anjam Nahi Hota
Jab Meri Kahani Mein Wo Nam Nahi Hota
84.
Woh Ashk Ban Ke Meri Chashm E Tar Mein Rehta Hai
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghur Mein Rehta Hai
85.
Tum Nahit O Zindugi Mein Aur Kya Reh Jaye Ga
Door Tak Tanhayion Ka Silsila Reh Jaye Ga
86.
Kuch Aise Din Bhi Meri Zindagi Me Aaye Hain,
Aankhe Jab Roti Rahi Aur Honth Muskuraye Hain,
Sabse Jyada Jo Door Gaye Mere Daman Se ,
Jaane Kyun Sabse Zyaada Wahi Yaad Aaye Hain.
87.
Manzil Safar Mein Thi, Qadam Faaslon Mein Tha
Mein Door Tha Zaroor, Magar Raaston Mein Tha
88.
Tanhaion Me Unko Hi Yaad Karte Hain,
Wo Salamt Rahe Yahi Fariyad Karte Hai,
Ham Unke Hi Mohabbt Ka Intzar Karte Hai,
Unko Kya Pata Hum Unse Kitna Pyaar Karte Hai.
89.
Kadam Kadam Par Baharon Ne Saath Chod Diya,
Pada Jab Waqt To Apno Ne Saath Chod Diya,
Kasam Khaayi Thi Sitaron Ne Saath Dene Ki,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Saath Chod Diya.
90.
Suna Hai Pyaar Ke Kissey Ajib Hote Hain,
Khushi Ke Badle Gam Naseeb Hote Hain,
Mere Dost Mohabbat Na Karna Kabhi,
Pyaar Karnewale Bade Badnaseeb Hote Hai.
91.
Dil Se Yaad Karte Hain,
Ankhon Se Aansoo Chalak Jaate Hain.
Kabhi Hazaar Baatein Karte Thhe,
Aaj Ek Baat Ke Liye Taras Jaate Hain.
92.
Na Pucho Hamse Koi Baat Ke Zindgi Ek Sawal Ban Ke Rah Gai Hai,
Dard Itna Hai Sine Me Ki Khushi Ek Khayal Ban Ke Rah Gayi Hai.
93.
Humne Kabhi Kiya Na Tha Pyar Tumse Pyar Karne Se Pehle
Aur Na Kabhi Chaha Tha Kisiko Tumhe Chahne Se Pehle
Par Tune Hume Zakhm Diye Itne Zaalim
Har Pal Ghut Ghut Ke Mar Gaye Har Pal Jeenay Se Pehle
94.
Chahat Me Teri Dil Jala Baithe Hain, Paani Se Bhi Yeh Aag Bhujti Nahi
Ab To Aalam Yeh Hai Ki Samandar Bhi Humse Dhoor Chala Jaata Hai
Khak Ho Gaye Zaalim Hum To Tere Pyar Me Jalte Jalte
Ab To Aag Me Bhi Tera Hi Chehra Sa Nazar Aata Hai
95.
Bhari Mehfil Mein Tanha Mujhe Rehna Sikha Diya,
Tere Pyaar Ne Duniya Ko Jhoota Kehna Sikha Diya,
Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahin Hota Ab To,
Sab Kuch Zindagi Mein Chup-Chap Sehna Sikha Diya.
96.
Aagar Bhigne Ka Itna Shaukh Hai Barish Mein
To Dekho In Ankhoo Mein,
Baarish To Har Ek Ke Liye Barasti Hai,
Ye Ansu Sirf Tumhare Liye Baraste Hain..
97.
Humne Iss Duniya Main, Itne Zakhm Khaaye Hain
Mujhse Jo Bichad Gaye, Wo Khud Mere Saaye Hain
Jee Rahaa Hoon Zindagi Main In Aansuon Ke Sahaare
Mere Liye To Ab Apne Bhi Paraaye Hain
98.
Baat Chal Padi Wafa Ki
Hon Rahi Thi Khamian
Jisko Humne Apna Samjha
Woh Jala Gaya Aashian
99.
Na Karte Shikayat Zamane Se Koi,
Aagar Maan Jata Manane Se Koi,
Kisi Ko Kyon Yaad Karta Koi,
Agar Bhool Jaata Bhulane Se Koi
100.
Yeh Dil Ka Zakhm Tumney Diya Hai Tou Koi Baat Nahin
Yeh Jigar Ka Dard Agar Tumney Diya Hai Tou Koi Baat Nahin
Majaal Kiski Thi Ki Kehta Mujhey Deewana Magar
Yeh Tumney Kaha Hai Tou Koi Baat Nahin......
101.
Ye Theek Hai Nahi Martaa Koi Judaai Me
Khudaa Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare
Sunaa Hai Usko Mohabbat Duuaayein Deti Hai
Jo Dil Pe Chot To Khaaye Magar Gilaa Na Kare
102.
Nazreen Mili Thi Jinse, Wo Ab Nazar Churaate Hain...
Khata Hui Kya Is Dil Se, Wo Ye Bhi Na Bataate Hain!!
103.
Teri Mudi Hui Tassver Ko Seena Se Lagakar Bahata Hu,
Tumhe Kohkar Bhe Tumhe Paane Ke Umeed Leya Behta Hu.
104.
Jabse Kareeb Hoke Chale Zindagi Se Hum
Khud Apne Hi Aaine Ko Lage Aznabi Se Hum
Kuchh Duur Chalke Raste Sab Ek Se Lage
Milne Gaye Kisi Se, Mil Aaye Kisi Se Hum
105.
Tere Har Shikvae Ko Teri Adda Maana
Terei Har Bewafai Ko Apni Khata Jaana
Na Karenge Mohabaat Kabhi Ab
Chahe Unhone Ab Hame Apna Maana
106.
Har Subah Ki Dundh Kuch Yaad Dilaati Hai,
Har Phool Ki Khushboo Ek Jaado Jagaati Hai,
Chaho Na Chaho Kitna Bhi,
Par Mujhe Aapki Yaad Aa Hi Jaati Hai!!
107.
Ab Ke Ham Bicchde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Milein
Jis Tarah Sukhe Hue Phool Kitaabon Mein Milein
108.
Gairon Se Suna Tumne,
Gairon Se Kaha Tumne,
Kuch Hum Se Suna Hota,
Kuch Humko Kaha Hota
109.
Kaam To Hazaron Hai Duniya Me Mohabbat Ke Siva
Badnaaam Aur Sharminda Hoke Bhi Mai Jiya
Par Badnaseeb Tu Bahut Hai Mere Dost
Kyonki Zindagi Me Tune Kabhi Pyar Na Kiya
110.
Humne Apne Aasuo Ko Bahot Samzaya Ki Tanhayi Main Aaya Karo,
Aisy Bhari Mehfil Main Humara U Mazak Na Udaya Karo,
Usper Humare Aasu Humse Tadap Kar Bole ,
Hum Aisy Bhari Mehfil Main Bhi Aapko Tanha Paate Hai,
Isliye Aapke Pass Chale Aate Hai .
111.
Tum Na Karna Jo Humney Ki Bhool
Ishq Mai Barey Hain Kattey Per Thorey Sey Phool"
112.
Intezaar He Meri Zindagi Hai Ab
Bekarari Ka Aalam Hai Ab
Tumse Mulakaat Ho Ya Na Ho
Zindagi Ko Yuin Hi Gujar Jaana Hai Ab
113.
Jis Dil Mein Basa Tha Pyar Tera
Uus Dilko Kabhi Ka Tod Diya
Badnaam Na Hone Denge Tuze
Tera Naam Hi Lena Chod Diya.
114.
Jindgi Mein Ek Sapana Dekha
Uuse Hum Hakikat Samaz Baithe
Hamne Jisse Pyar Kiya
Wo Majak Samaz Baithe.
115.
Mere Zakhmon Ko Naa Kuredo
In-Mein Chhipi Kayee Nayee Purani Dastaane Hain
Gar Baat Nikli Ek-Baar To
Mere Sang Tum Bhi Badnaam Ho Jaooge.
116.
Main To Hoon Ek Parwana, Jahan Shamaa Dikhi Jal Jaoonaga
Naseeb Hi Aisa Lekar Aaya Hoon, Kissi Ko Naa Apnaa Kah Paoongaa
117.
Log Phulo Se Mohabat Karte Hai,
Kaanto Ko Kisne Yaad Kiya Hai,
Hum Kaanto Se Mohabat Karte Hai,
Kyuki Phulo Ne Hume Zakhm Diya Hai...
118.
Suni Jindagi Me Halchal Si Mehsoos Hui
Bejaan Dil Ki Aaj Dhadkan Mehsus Hui
Jane Aaj Kyu Aisa Laga
Shayad Aapki Kami Mehsoos Hui
119.
Aankh Pe Farz Hai, Hur Waqt Sawaali Rehna
Iss Ko Sajta Hi Nahin, Ashk Sey Khaali Rehna
120.
Be Maut Mar Na Jaana, Tum Meri Baaton Se,
Tumhein Pyar Karne Ko Tarasta Hoon....
Main Koi Gaya Waqt Nahin Hun,Jo Phir Se Aa Na Sakoon
Main Tumse Milne Ko Tarasta Hoon....
121.
Hazaro Gham Mere Seenay Mein Chhupe Hein Lekin...
Mein Ne Har Haal Mein Hansne Ki Kasam Khai Hai...
122.
Na Samjha Meri Mohobbat Ko Tune,
Na Samjhi Gayi Teri Wafa Mujhse...
Gila Na Kiyaa Tha Kabhi Bhi Humne,
Ab Kyaa Karenge Shikaayat Tujhse...
Jalaakar Is Dil Ko Saman Dar Par Tere, Diyaa Hum Karenge..
Raho Aabaad Sadaa Tum Khudaase Bas Ab,Ye Duaa Hum Karenge..
123.
Woh Mera Ho Jo Nazer Mein Haya Rakhta Ho
Her Qadam Saath Chale Azm-E-Wafa Rakhta Ho
Naaz Uske Na Uthaaon Tou Shikayat Na Kare
Zakhm Khaa Ker Bhi Hansne Ki Adaa Rakhta Ho
124.
Woh Dil Hi Kya Jo Tere Milne Ki Dua Na Kare
Main Tujhko Bhul Ke Zinda Rahoo Khuda Na Kare
Yeh Sach Hain Ke Marta Nahin Koi Judaai Mein
Khuda Magar Kisi Ko Kisise Kabhi Juda Na Kare
125.
Hansi Ke Raston Pe Chala Karo,
Khushiyon Ki Mahek Liya Karo,
Pyar Se Dilon Ko Chhua Karo,
Jahan Tumhe Gham Nazar Aaye;
To Iss Nacheez Ko Yaad Kiya Karo.
126.
Chaandni Ko Guroor Hai...
Ke Chaand Pe Noor Hai,
Hum.... Kis Per Guroor Karein,
Humara Chand Hi Humse Door Hai.
127.
Sukhe Patte Se Pyar Kar Lenge,
Hum Tuj Par Aitbaar Kar Lenge,
Tum Yeh To Kaho Hum Tumhare Hai,
Hum Zindagi Bhar Intezaar Kar Lenge
128.
Saaye Ki Tarah Saath Rahne Wale
Hamse Rishtaa Tod Gaye,
Hakikat Me Milna Mumkin Nahi Tha
Magar Khwabon Me Bhi Aana Chhod Gaye
129.
Yah Dard Mere Hai
Inhe Mera Hi Rahne Do
In Per Haq Mera Hai
Itna Sa To Mere Pass Rahne Do.
130.
Kismat Mujse Ruth Gayi Hain
Dil Ki Tamanna E Tut Gayi Hain
Hay...Duniya Ke Mele Me Dekho
Mahobbat Meri Loot Gayi Hain.
131.
Yaad Karta Hoon Tumhe Yaad Aati Hi Nai
Kaise Aayae Woh Cheez Jo Jaati Hi Nahi
132.
Manzilon Pe Aake Lut-Te Hain Dilon Ke Karvaan
Kashtiyan Saahil Pe Aake Dobti Hain Pyar Ki
133.
Hame Bich Mujhdhar Main Ussne Chod Diya,
Phir Dil Hamara Chaha Jisne Usne Tod Diya,
Kitna Akela Hu Main Yeh Na Pucho,
Jab Mera Sath Mere Saye Ne Bhi Chod Diya.
134.
Maut Se Darana Chod Diya Hamne Par ,
Jindagi Se Darte Hain.
Tanha Jina Chahate Hain Ye Jindagi
Isiliye Apne Saaye Se Bhi Darte Hain
135.
Ek Din Baharon Ke Phool Murjhayenge. .
Bhoole Se Kabhi Hum Tumhe Yaad Aayenge
Ehsaas Hoga Bhoole Se Tumhe Meri Chahat Ka Jab
Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge...
136.
Tumse Zindagi Bhar Pyar Karne Ka Armaan Hai Mera,
Mujhe Bhool Mat Jana Ki Mein Ban Jaauin Itihaas Tera...
137.
Bada Armaan Tha Tere Sang Zindagi Beetane Ka,
Shikwa Hai Bas Tere Khamosh Rah Jaane Ka,
Deewanagi Isse Bhi Badkar Kya Hogi,
Aaj Bhi Intezaar Hai Tere Waapas Aane Ka.
138.
Door Hai , Par Yeh Naa Samajh Tujhe Bhool Jayenge ...
Iss Zindagi Kay Safar Mein Hum Tere Saamney Bar-Bar Ayenge ...
139.
Meri Kismat Main Jitne Bhi Gum Thai,
Sub Mere Samanee Aa Chuke Hain,
Ek Tera Hi Gum Raha Gaya Hai,
Ab Tu Bhi Damaan Chooda Ley
140.
Ye Chaandani Bhi Jin Ko Chhoote Hue Darati Hai
Duniyaa Unhin Phoolon Ko Pairon Se Masalatii Hai ......
141.
Teri Yaad Jati Nahi Dil Se, Apne Jakhmo Ko Sahlate Hain,
Teri Yaad Mitane Ko Khud Par,Hum Kya-Kya Julm Dhaaate Hain,
Yaad Mitane Ko Teri, Hum Tere Hi Naam Ko,
Phle Lahu Se Likhte Hain Or Fir Ashko Se Mitate Hain.
142.
Zindagi Ki Har Khwahish Puri Nahi Hoti.
Sirf Umeed Se Har Cheez Haasil Nahi Hoti.
Sach Hai Ki Dil Ki Lagi Kabhi Nahi Bujti.
Par Gum Se Pehele Kabhi Khushi Nahi Milti.......
143.
Baadal Kitne Khushnaseeb Hai,
Door Rahkar Bhi Zameen Par Baraste Hai,
Hum Kitne Badnaseeb Hai,
Paas Rahkar Bhi Milne Ko Taraste Hai.
141.
Hum Vo Ishq Hai Jo Dil Bankar Dhadakte Hai
Hum Vo Khushboo Hai Jo Bahon Me Mehekte Hai
Humse Pyaar Na Karna Aye Zalim
Hum Vo Dard Hai Jo Aankhon Se Chalakte Hai.
145.
Koi To Majburiyaan Rahi Hongi,
Yunh Hi Koi Bewfa Nahi Hota,
Kahna To Bahut Kuch Chahte They ,
Magar Kya Kare Hausla Nahi Hota.
---
146.
Tumse Bichde To Mar Jaayenge Hum,
Kuch Is Tarah Se To Naa Maarna Humein,
Marne Ke Liye To Teri Judaai Hi Kaafi Hai,
Kabhi Bewfai Se Naa Maar Dena Humein,
147.
Wafa Karne Ka Wada To Hum Bhi Naa Kar Paayenge,
Magar Yeh Jaroor Kahte Hai Ki Bewfai Naa Hogi Humse...
148.
Maine Dil Ko Lakh Samjhaya Ki E Dil Unko Yaad Karma Chodd De
Par Dil Ke Har Kone Se Awaz Aai,
Yahan To Har Sans Main Who Base Hai
To Kya Saas Lena Chod De.
149.
Yaad Karne Ke Liye Koi Cheez Chahiye,
Aap Nahin To Aapki Tasveer Chahiye,
Par Tasveer Aapki Hamaara Dil Behla Naa Akegi,
Kyunki Woh Aapki Tarah Muskura Naa Sakegi.
150.
Ansuo Se Palak Bhigo Leta Tha..,
Yaad Teri Ati Thi To Ro Leta Thha.....
Socha Tha Ke Bhoola Du Tujhey Mager,
Har Baar Faisla Badal Deta Tha....
151.
Ruuth Kar Tum Mujhe Bhulane Lage,
Itne Durr Hue Ke Bahut Yaad Aane Lage,
Kaise Bhuljaata Tumhe Ek Pal Mein,
Jab Tujhe Pane Mein Mujhe Zamane Lage?.
152.
Badi Muddat Se Chaha Hai Tujhe,
Badi Duaon Se Paya Hai Tujhe.
Tujhe Bhulane Ki Sochu Bhi To Kaise,
Kismet Ki Lakiron Se Churaya Hai Tujhe.
153.
Cheez Bewafai Se Badkar Kya Hogi,
Gume Halat Judai Se Badkar Kya Hogi,
Jise Deni Ho Saza Umarbhar Ke Liye,
Saza Tanhai Se Badkar Kya Hogi.
154.
Kisi Ko Mohabbat Ki Sachai Mar Dalegi,
Kisiko Mohabbat Ki Gahrai Mar Dalegi,
Kar Ke Mohabbat Koi Nahi Bachega,
Jo Bach Gaya Use Tanhai Mar Dalegi.
155.
Sapno Ki Tarah Aakar Chale Gaye,
Apno Ko Bhulakar Chale Gaye,
Kis Bhul Ki Saja Di Aapne Hame,
Pehle Hasaya Fir Rulakar Chale Gaye.
156.
Woh Mujhe Barbaad Karke Chalaagayaa
Anjaane Me Woh Mujhe Shaayar Banaa Ke Chala Gayaa
157.
Na Milne Ki Khushi Na Bichhed Ne Ka Gam,
Na Udaas Na Tanha Hai Hum.
Kaise Kahe Kaise Hai Hum....
Bas Aapke Bina Akele Hai Hum....
158.
Kahne Ko Sab Kuch Hai, Magar Kuch Kami Si Hai,
Lagta Hai Ke Dhadkan Thami Si Hai...
Hamari Mohabbat Ko Thukrane Wale Zara Aaina To Dekh....
Teri Aankho Mai Bhi Nami Si Hai...
159.
*Zindagi Jaise Ek Saza Si Hogayi Hain,
Gham Ke Sagar Mein Is Khadar Kho Gayi Hain,
Tum Aajao Wapas Ye Guarish Hain Hamari,
Shayad Hamein Aapki Aadat Si Ho Gayi Hain.....
160.
Woh Mera Thah Yeh Batana Aajeeb Lagta Hai...
Aab Uss Say Aankh Milana Aajeeb Lagta Hai...
Jo Zindagi Main Kabhi Bhi Mera Naho Paya...
Aab Uss Ka Khawb Main Aana Aajeeb Lagat Hai...
Thah Jis Ka Haath Hamesha Hamaray Haatho Main...
Aab Ussay Haath Milana Ajeeb Lagta Hai...
161.
Dilo Ki Rah Me Aise Mod Ate He,
Ki Jaan Dene Wale Saath Chod Jate He...
Dil Pe Chot Lagti He Yakin Tut Ta Hai,
Saath Dene Wale Dil Tod Jate Hai...
162.
*Dil Toota Hamara Ismein Khuda Ki Marzi Hogi,
Ismein Kuch Unki Khutgarzi Bhi Hogi,
Dil Diya Tha Unhe Hamne Apna Samajh Kar,
Tod Diya Unhone Ise Ek Sapna Samajh Kar.....
163.
Kaanch Chube To Nishaan Reh Jata Hai,
Dil Tute To Armaan Reh Jata Hai,
Laga To Deta Hai Waqt Marham Is Dil Per,
Phir Bhi Umer Bhar Ek Zakhm Reh Jata Hai.
164
Dur Hote Hue Bhi Dosti Ka Rishta Nibhate Hai Aap,
Na Jaane Kyon Dil Ko Lubhate Hai Aap,
Ye Kaisa Karishma Hai Aapka,
Jo Hum Ko Itna Yaad Aate Hai Aap.
165.
Esa Na Tha Ki Aaine Ke Aage,Hamne Khud Ko Kabhi Savara Na Tha !!
Esa Bhi Na Tha Ki Bhari Duniya Main,Mera Koi Sahara Na Tha !!
Per Hum Jiske Ho Chuke He Dilo Jaan Se,Afsos Vo Hamara Na Tha !!
166.
Kitna Bebas He Insan Kismat K Age,
Kitne Benur He Sapnae Hakikat K Age,
Koi Ruki Hui Dhadkan Se Puche,
Kitna Tadpata He Dil Mahobbat K Age...
167.
Aap Har Manzil Ko Mushkil Samjhate Hai,
Hum Har Mushkil Ko Manzil Samjhate Hai,
Bada Fark Hai Aapke Or Humare Nazriye Mein,
Aap Dil Ko Dard Or Hum Dard Ko Dil Samjhate Hai.
168.
Chaand Ko Chandni Pasand Hai
Phoolon Ko Taazgi Pasand Hai
Hume Aap Pasand Hai
Na Jaane Aapko Kaun Pasand Hia
169.
Kisi Ki Chahat Pe Jinda Rahnewale Hum Na The
Kisi Pe Mar Mitnewale Hum Na The
Adat Si Pad Gayi Tumhe Yaad Karne Ki
Varna Kisi Ko Itna Yaad Karnewale Him Na The
170.
Waqt Hume Bhula Chuka Hai,
Mukaddar Bhi Na Bhula De
Hum Pyaar Isliye Nahi Karte
Ki Kahin Hume Phir Se Koi Na Rula De
171.
Kyon Zindagi Ki Raah Me Majboor Hogaye
Itne Hue Karib Ke Ham Durr Hogaye
172.
Aisa Nahin Ke Ham Ko Koi Bhi Khushi Nahin...
Lekin Yeh Zindagi To Koi Zindagi Nahin...
173.
Gam Bade Aate Hain..Katil Ki Nighaahon Ki Tarah,
Tum Chupa Lo Mujhe Ae Dost Mujhe Gunaahon Ki Tarah,
174.
Veeran Hai Dil, Tanhaaiyon Ki Bahar Hai
Tere Yandon Ke Kanty, Bas Yahi Kuch Ab Sath Hai
Tum Gai Sath Mai Chale Gai Hai Najare
Najaro Mai Bas Ab Sirf Tera Intzaar Hai
175.
Aankhon Mein Aansu Aa Jaate Hain
Phir Bhi Labo Pe Hansi Rakhni Padti Hai
Yeh Mohabbat Bhi Kya Cheez Hai Yaaron
Jisse Karte Hai Useese Chupani Padti Hai
176.
Koi Yeh Kaise Bataaye..Ke Woh Tanha Kyon Hai,
Woh Jo Apna Tha .. Woh Kisi Aur Ka Kyon Hai,
Yehi Duniya Hai..To Aisi Yeh Duniya Kyon Hai,
Yehi Hota Hai To Aakhir Yehi Hota Kyon Hai
177.
Vo Jiske Liyen Humne Khud Ki, Khushiyon Ko Bhula Diya !!
Vo Jiske Liyen Humne Ek Pal Me, Aapno Ko Rula Diya !!
Vo Jiske Liyen Hum Rote The Raat Bhar,Afsos Use Mera Hona Gavara Na Tha!
178.
Pyaar Ki Tadap Ko Dikhaya Nahi Jaata,
Dil Mein Lagi Aag Ko Bujaya Nahi Jaata,
Chahe Lakh Bewafaa Ho Yaar Kisi Ka,
Phir Bhi Pehla Pyaar Bhulaya Nahi Jaata....
179.
Jinki Tamanna Dil Mein Thi,
Judai Ab Hum Unki Sehte Hain,
Fursat Nahi Unhe Humse Baat Karne Ki,
Is Liye Hum Har Waqt Khamosh Se Rehte Hain
180.
Har Dhadkan Mein Raaz Hota Hain,
Baat Ko Batane Ka Ek Andaaz Hota Hain,
Jab Tak Thokar Na Lage Bewafai Ki,
Har Kisi Ko Apne Pyar Pe Naaz Hota Hain.
181.
Usko Kya Saza Doon ?
Jisne Mohabbat Mein Mera Dil Tod Diya,
Gunaah To Humne Kiya,
Uski Baaton Ko Mohabbat Samaj Liya
Yaar Ne Dil Ka Haal Batana Chod Diya,
Hamne Bhi Gehraae Mein Jana Chod Diya.
Jab Usko Hi Doori Ka Ehsaas Nahi ,
Toh Humne Bhi Ehsaas Dilana Chod Diya........ ..
182.
Youn Badi Der Se Paimaana Liye Betha Hu,
Koi Dekhe To Ye Samjhe K Piye Betha Hu....
Zindagi Bhar K Liye Ruth K Jaane Wale,
Mein Abhi Tak Teri Tasveer Liye Bhetha Hu....
183.
Aankhon Ko Aankhon Ka Pata Na Hota Agar,
Dil Ko Dard Ka Ehsas Na Hota Agar,
Kitna Hasin Hota Zindagi Ka Ye Safar,
Milkar Yun Bichadna Na Hota Agar.
184.
*Tamanna To Jahan Ki Karte Hain Hum,
Par Har Dil Jisse Apna Maane Woh Hamara Nahi Hota,
Dariya-E-Mohabbat Mein Tufan Bhi Hain Bhawar Bhi Hain,
Par Har Kashti Ki Kismat Main Kinara Nahi Hota.......
185.
Woh Kaise Ho Sakte Hain Humaare
Hum Zami Pe Pathar Woh Aasmaa Pe Sitaare
186.
Ulfat Ka Aakhir Yahi Dastur Hota Hain,
Jise Chaho Wohi Apno Se Dur Hota Hain,
Dil Toot Kar Bhi Bikharta Hain Is Kadar,
Jaise Koi Kaanch Ka Khilona Chur-Chur Hota Hain.
187.
Sitaron Se Kaho Chamakna Chod De
Suraj Se Kaho Roshni Dena Chod De
Agar Tum Nahi Aa Sakthe Tho
Tumhari Yaadon Se Kaho Hume Satana Chod De
188.
Dil Ko Kisi Ki Yaad Se Khaali Na Kijiye
Suna Hai Bhoot Reha Karte Hai Khaali Makaan Mein
189.
Sitaro Ko Ankho Me Mahefus Rakhna
Bahot Lambi Raat Hi Raat Hogi.......
Musafir Ho Tum Bhi, Musafir He Ham Bhi
Kahi Kisi Mod Pe Phir Mulakat Hogi.....
190.
Dono Ankho Me Ashk Diya Karte He,
Ham Apni Ninde Tere Naam Karte He....
Jab Bhi Palak Jhapke Teri,
Samajh Lena Ham Tujhe Yaad Kiya Karte He....
191.
Savera Kya Hua, Sitaro Ko Bhul Gaye.
Suraj Kya Aaya, Chaand Ko Bhul Gaye.
Guzre Kya Kuch Pal Humare Bina,
Aap Hume Hi Bhool Gaye.
192.
Bahot Roai Hain Us Aansu Ki Khaatir
Jo Nikalta Hai Khushi Ke Inteha Par...
193.
Jindagi Tujh Bin Ulfat Si Lagti Hai,
Ek Pal Ki Judaai Muddat Si Lagti Hai,
Pahle Nahin ,Ab Sochate Hain Hum....
Har Lamha Teri Zarurat Si Lagti Hai..
194.
Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lakar
Koi Shaam Jaathi Hai Tumhari Yaad Dekar
Hamein To Us Shaam Ka Intazaar Hai
Jo Aayee Tumhe Saath Lekar
195.
Hotho Ki Zuba Ansu Kahte Hai,
Jo Chup Hai Lekin Fir Bhi Bahte Hai Aur
Ansuyo Ki Kismat To Dekhiye, Ye Unke Liye Behte Hai,
Jo In Ankho Me Rahte Hai
196.
Meri Chaahat Pe Tum Humesha Bharosha Rakhana,
Ey Khuda Mere Mehboob Ko Sada Salamat Rakhana,
Tere Sapnoko Sanwar Ne Hum Jaroor Aayenge,
Bas Aankho Me Humara Intezaar Rakhana
197.
Chahat Ki Tum Kisise Imtihan Mat Lena...
Jo Nibha Hi Na Sako Woh Wada Hi Na Karna...
Jise Tumhare Bin Jeene Ki Adat Hi Na Ho...
Use Jeene Ki Dua Hi Na Dena...
198.
Asmaan Ko Neend Aaye Toh Sulau Kahaan
Zameen Ko Maut Aaye Toh Dafnau Kahan...
Samundar Mein Lehar Aaye Toh Chupau Kahan,
Jab Kisi Ki Yaad Aaye Toh Jau Kahaan!!
199.
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha ....!!
Idhar Mera Ghar ..!! Udhar Uska Aaashiyana Tha ...!!
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed ..!!
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha ...!!
200.
Lamha Lamha Waqt Guzar Jayega,
Chand Lamho Mein Daaman Chod Jayega.
Abhi Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kya Pata Kal Kaun Teri Zindagi Me Aa Jayega.
201.
Jinki Yaad Mein Hum Dewane Ho Gaye,
Wo Hum Hi Se Begaane Ho Gaye.
Shayad Unhe Talash Hai Ab Naye Dost Ki,
Kyunki Unki Nazar Me Ab Hum Purane Ho Gaye.
202.
Tum Bhoolakar To Dekho Hume
Har Khushi Tumse Rooth Jayegi
Jab Bhi Sochoge Apne Bare Me
Khud - Ba - Khud Yaad Hamari Aayegi
203.
Khwaab Dekha Bhi Nahi Aur Tut Gaye
Woh Humse Mile Bhi Nahi Aur Ruth Gaye
Hum Jaagte Rahe Duniya Soti Rahi
Ek Baarish Hi Thi Jo Saath Roti Rahi.
204.
Suna Hai Jab Hichki Aati Hai
To Koi Yaad Karta Hai
Agar Is Baat Main
Thori Si Bhi Haqeeqat Hai
To Na Mumkin Hai
Keee Tumhari Hichki
Ek Pal Bhi Rukti Ho
205.
Aaj Phir Dil Hai Kuch Udaas Sa
Jaane Kyun Ek Mayusi Si Chahi Hai
Aaj Phir Palkon Pe Aansu Hai
Bheed Mein Hoon Phir Bhi Tanhai Hai.
206.
Jeet Hi Lee Jaaye Mujhe Koi Naseebo Vaala
Jindagi Ne To Mujhe Daav Pe Laga Rakha Hai
207.
Zahar Deta Hai Mujhe , Koi Dava De-Ta Hai
Jo Bhi Milta Hai Mere Gum Ko Bada Deta Hai
208.
Woh Dil Kya Jo Milne Ki Dua Na Kare,
Tujhe Bhul Kar Jiyun Khuda Naa Kare
Rahegi Teri Dosti Meri Zindagi Bankar,
Yeh Baat Aur Hai Ki Zindagi Wafa Naa Kare.
209.
Ek Hook Si Dil Mein Oothti Hai
Ek Dard Sa Dil Mein Hota Hai
Hum Raat Ko Baith Kar Rote Hain
Jab Sara Aalam Sota Hai.
210.
Dard Mein Dil Ke Muskarane Se
Yaad Aaye Kuch Log Purane Se
Main To Do Kadam Bhi Nahi Chal Sakta
Tu He Aaja Kisi Bahane Se
211.
Har Khushi Kam Hai,
Tera Gum Bhulane Ke Liye,
Ek Tera Gum Hi Kaafi Hai,
Mujhe Umr Bhar Rulane Ke Liye
212.
Teri Sanso Ki Khushbu Meri Sansoon Me Bas Gayee Hai,
Teri Ankho Ki Chamak Meri Aankhome Ram Gayee Hai,
Tum Is Tarah Se Mile Aor Bichhad Gaye Mujhe Ki,
Ye Tanhayee Meri Teri Yadoon Se Saj Gayee Hai.
213.
Ishq Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain,
Jaagti Aankon Mein Bhi Kuch Khwaab Hote Hain.
Zaroori Nahin Ghum Mein Hi Aansu Niklein ,
Muskurati Aankhon Mein Bhi Sailaab Hote Hain.
214.
Zindagi Sabko Milay Jaroori To Nahi,
Mohobat Sabko Milay Jaroori To Nahi,
Kuch Log Bahut Yaad Aate Hai Zindagi Mein,
Wo Bhi Hume Yaad Kare Ye Jaroori To Nahi...
215.
Tez Dhadkanoon Ko Sunkar Bhi Tumhe
Pyar Ki Khabar Nahi Hoti....
Kya Mehsoos Karoge Tum Dil Ka Dard,
Dil Ke Tutne Ki To Awaaz Bhi Nahi Hoti....
216.
Har Waqt Muskurana Fitrat Hai Hamari,
Aap Yuhin Khush Rahe Hasrat Hai Hamari,
Aap Ko Hum Yaad Aaye Na Aaye,
Aapko Yad Karna Aadat Hai Hamari.
217.
Jab Bhi Kisiko Kareeb Paya Hai
Kasam Khuda Ki Wahin Dhoka Khaya Hai
Kyon Dosh Dete Ho Kaanton Ko
Ye Zakhm To Humne Phoolon Se Paya Hai!!
218.
Raat Hui Jab Shaam Ke Baad,
Teri Yaad Aayi Har Baat Ke Baad,
Khamosh Reh Kar Bhi Dekha,
Teri Aawaz Aayi Har Saans Ke Baad.
219.
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
220.
Is Pathar Ki Duniya Me , Aksar Dil Toot Jaya Karte Hai
Aankhein Bhi Sambhal Kar Bandh Karna Mere Dost....
Palko Ke Bich Bhi Sapne Toot Jaya Karte Hai.
221.
Phir Dil Laga Kar Dekhenge,Dil Par Chot Khakar Dekhenge,
Aansuoon Se Koi Tasveer Daaman Par Banakar Dekhenge,
Phir Bhi Agar Ye Dil Dard Na Ban Saka-E-Dost,
To Is Baar Dard Ko He Dil Bana Kar Dekhenge.
222.
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se Hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
223.
Hum Wo Nai Jo Bhul Jaya Karte Hai,
Hum Wo Hai Jo Nibhaya Karte Hai,
Dur Rehke Milna Shyad Mushkil Ho,
Par Yad Banke Sason Me Bus Jaya Karte Hai.
224.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
225.
Ye Vaqt Itne Roop Jaane Lata Kanha Se Hai
Itna Tej Gujarta Hai Jaane Jata Kanha Hai
Pal Bhar Ko Maine Aankhein Bas Band Hi To Keen Thi
Sab Manzar Badal Kar Naya Jahan Jane Basata Kanha Se Hai
Un Badale Manzaroon Mein Sab Raste Vanhi Hain
Kuch Log Kuch Umeedein Kuch Sapne Badal Gaye
In Chalte Se Raston Mein Jo Mod Gujar Gaye
Un Akeli Raaton Ka Bojh Jaane Udhata Kaise Hai!!!!!!!
226.
Kis Ko Gham Khuwaar Kahoon
Kise Hamdard Kahoon
Ek Tere Siwa Hain Sab
Dil Ko Dukhaane Wale
Tujh Ko Aana Hi Na Tha
Sab Bahane The Tere
Warna Aajate Hain
Her Haal Main Aane Wale
227.
M0h0baat Karne Wal0 Ki,
Takdir Badalti Rahti Hai,
Sheesha T0 W0hi Rehta Hai,
Magar Tasveer Badalti Rahti Hai.
Ek Sawaal Zindagi Se Kiya Karte Hai,
Ke Hum Zindagi Mein Kyu Jiya Karte Hai,
Jab Kisi Ke Paas Waqt Nahi Rehta,
To Log Rishte Kyu Bana Liya Karte Hai.
228.
Kuch Jane Kuch Pahchane ,Kuch Anjane Se Log Miley,
Shayed Main Deewana Mujhko Deeewane Se Log Miley.
229.
Kuch Bata Pichle Paher
Khuwaab Main Aane Wale
Kab Woh Din Aayenge
Phir Humko Milane Wale
230.
Raat Hue Jab Sham Ke Baad,
Teri Yaad Aayi Har Baat Ke Baad.
Humne Khaamosh Rehkar Bhi Dekha,
Teri Aawaz Aayi Har Saans Ke Baad.
231.
Jam Tutne Ka Bahana Na Kar,
Hum To Teri Aankhon Se Pee Lenge.
Tu Mat Aa Lekin Aane Ka Vaada To Kar,
Hum Tere Intezaar Mein Hi Jee Lenge.
232.
Aansoo Ko Bahut Samjhaya Tanhayi Mein Aaya Karo,
Mehfil Mein Hamara Mazaak Naa Udaya Karo.
Is Par Aansoo Tadap Kar Bole,
Itne Logon Mein Aapko Tanha Paate Hai Isliye Chale Aate Hai.
233.
Dur Hote Hue Bhi Dosti Ka Rishta Nibhate Hai Aap,
Na Jaane Kyon Dil Ko Lubhate Hai Aap,
Ye Kaisa Karishma Hai Aapka,
Jo Hum Ko Itna Yaad Aate Hai Aap.
234.
Tumne Chaha Hi Nahin,Warna Halaat Badal Sakte The,
Mere Anshoo Teri Ankhon Se Nikal Sakte The,
Tum To Thahre Hi Rahe Jheel Ke Paani Ki Tarah,
Dariya Bante To Door Nikal Sakte The.
235.
Aankhon Ki Zuban Woh Samajh Nahin Pate,
Hoat Magar Kuch Keh Nahin Pate,
Apni Bebasi Kis Tarah Kahe,
Koi Hai Jiske Bina Hum Reh Nahin Pate.
236.
Dil Gumsum, Zuban Khamosh
Yeh Aankhen Aaj Nam Kyon Hai.
Tune Kabhi Paaya Hi Na Tha,
To Aaj Khone Ka Gam Kyon Hai.
237.
Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
238.
Kaanch Chube To Nishaan Reh Jata Hai,
Dil Tute To Armaan Reh Jata Hai,
Laga To Deta Hai Waqt Marham Is Dil Per,
Phir Bhi Umer Bhar Ek Zakhm Reh Jata Hai.
239.
Kisi Ki Chahat Pe Zinda Rehne Wale Hum Na The,
Kisi Pe Marmitne Wale Hum Na The,
Aadat Si Padgai Hai Tumhe Yaad Karnae Ki,
Warna Kisi Ko Yaad Karne Wale Hum Na The.
240.
Din Tere Khayal Mein Gujar Jata Hai,
Raat Ko Bhi Khayal Tera He Aata Hai.
Kabhi Ye Khayal Is Tarah Bad Jaata Hai Ki
Aaine Mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai.
241.
Tum Badle, Jahan Badla, Badli Nazar Zamane Ki
Yeh Aansu Char Baqi Rah Gaye, Nishani Dil Lagane Ki
242.
Aapne Dushman Se Hi Dil Laga Baithe
Unki Saadgi Se Fareb Kha Baithe
Pattharon Se Tha Apna Rishtaa..
Phir Bhi Shishe Ka Ghar Bana Baithe
243.
Yoon To Koi Bhi Tanha Nahi Hota,
Chaah Kar Kisi Se Juda Nahi Hota,
Mohbbat Ko Majboorian Hee Ley Doobti Hain,
Varna Koi Khushi Se Be-Wafa Nahi Hota.
244.
Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi
245.
Ishq Ke Rishte Kitne Ajib Hote Hai?.
Durr Rehke Bhi Kitne Karib Hote Hai,
Meri Barbadi Ka Gum Na Karo Yaro,
Ye To Apne Apne Nasib Hote Hai?..
246.
Ham Tere Dil Mein Rahenge Ek Yaad Bankar,
Tere Lab Pa Khilenge Muskaan Bankar,
Kabhi Hamein Apne Se Juda Na Samajhna,
Hum Tere Saath Challenge Aasmaan Bankar?
247.
Yeh Mat Pucho Tum Bin Hum Kya Kya Khote Rahe,
Tumhari Yaadon Mein Hum Roz Kitne Rote Rahe,
Na Din Gujre Hai Na Raatein,
Bas Kuch Bechain Se Hum Hote Rahe!
248.
Na Khuda Dil Banata Na Kisise Pyar Hota,
Na Kisiki Yaad Ati Na Kisika Intazar Hota.
Dil Diya Hai Ise Sambhal Ke Rakhna,
Shishe Se Bana Hai Pathar Se Dur Rakhna!
249.
Bada Armaan Tha Tere Sang Jeevan Bitanne Ka,
Shikwa He Bas Tere Khamosh Reh Jaane Ka,
Dewaangi Isse Badkar Bhi Kya Hogi,
Aaj Bhi Intajaar Hai Tere Aane Ka.
250.
Guzre Huwe Kal Ki Yaad Aati Hai,
Kuch Lamho Se Aakhen Bhar Aati Hai.
Who Subah Rangeen Who Shaam Nirali Doob Jaati Hai,
Jab Aap Jaisi Dosto Ki Yaad Aati Hai.
251.
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum ...!! Ki Tu Kya Hai ...!!
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai ...!!
Ragoon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal ..!!
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai ..!!
252.
Sirf Tum Hi Ho Zindagi Main
Par Main Tumhe Pa Nahi Sakta,
Rahega Dukh Hamesha Tumhe Na Pane Ka.
Par Apni Khushi Ke Liye Tumhe Rula Nahi Sakta.
253.
Logonko Kehate Suna Aksar..Zinda Rahenge To Phir Milenge..
Magar Iss Dilne Mehsoos Kiya Hai... Milate Rahenge To Zinda Rahenge !!!
254.
Dekha Jidhar Yeh Payaa ..!! Aalam Hijaab Ka ..!!
Jaali Ko Naam De Diya ...!! Humne Niqaaab Ka ..!!
Dukh Ki Tapeesh Hai ....!! Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain ..!!
Yeh Zindagi Hai Jaise ....!! Din Ho Hisaab Ka ..!!
255.
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain ...!! Tumhain Kya Maloom ..!!
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain ...!! Tumhain Kya Maloom ..!!
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna ...!!
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain ...!! Tumhain Kya Maloom ...!!
256.
Woh To Khushbu Hai ..!! Hawaoon Main Bikhar Jayega ...!!
Masla Phool Ka Hai ..!! Phool Kidhar Jayega ..!!
Hum To Samjhe The Ke Ek Zakham Hai Bhar Jayega ...!!
Kya Khabar Thi Ke Ruh-E-Jaan Main Utar Jayega ...!!
257.
Aansu Ko Ankhon Ki Dehliz Pe Laya Na Karo.
Apne Dil Ki Halat Kisiko Bataya Na Karo.
Log Mutthi Bhar Namak Liye Ghoom Rahe Hain
Apne Zakhm Kisiko Dikhaya Na Karo
258.
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar,
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah,
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen,
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah.
259.
Raat Gumsum Hai Magar Chan Khamosh Nahi,
Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi.
Aisa Duba Teri Aakho Ki Gehrai Main,
Haath Mein Jam Hai Magar Pine Ka Hosh Nahi.
260.
Jaanta Hu Ke Bewafa Hain Who,
Fir Bhi Dil Ke Haatho Fareb Khata Hu.
Roz Kehta Hu Ki Bhool Jaaunga Usko,
Roz Isi Baat Ko Bhool Jaata Hu.
261.
Kalam Uthaya Hai Par Lafz Nahi Milta,
Jisko Dhoond Rahe Hai Who Shuks Nahi Milta.
Firte Hai Who Zamane Ki Talash Mein,
Bas Humare Liye Unhe Waqt Nahi Milta.
262.
Aap Khafa Hain Humse,
Itna To Yakeen Hai Humko,
Bas Yuhi Chahte Rehna,
Achcha Sa Lagta Hai.
263.
Hum Na Hote To,
Kisi Aur Ke Charche Hote,
Na Hota Jo Yeh Ishq,
To Koi Aur Gham Ke Bahaane Hote...
264.
Ishq Cheez Hi Aisi Hai, Daman Chudaya Nahi Jaata
Doob Gaye Hain Pyaar Mein Itna, Kuch Chupaya Nahi Jaata
Izhaar To Karna Chahte Hain, Par Mohabbat Jatayii Nahi Jaati
Doori Itni Hai Beech Humare, Ki Chahat Dikhayii Nahi Jaati
265.
Kaun Yaad Rakhta Hai Naamo Ko,
Log Chehron Ko Bhool Jaate Hai.
Tum Samandar Ki Baat Karte Ho,
Log To Aakhon Mein Doob Jaate Hai.
266.
Tumne To Yaar Mujhe Jeena Sikha Diya,
Mohhabat Ki Raah Par Chalna Sikha Diya.
Mili Humko Jab Se Tumahari Dosti,
Gum Mein Bhi Muskarana Sikha Diya.
267.
Chiraago Se Agar Andhere Door Hote Tho Chand Ki Chaht Kise Hoti,
Akele Jindagi Agar Kut Jaati Tho Pyar Sirf Naam Ki Cheez Hoti.
268.
Yaad Mein Teri Aahen Bharte Hai,
Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karte Hai.
Maut Sachai Hai Ek Roz Aani Hai,
Lekin Teri Judai Mein Har Pal Marte Hai.
269.
Aapke Khayalon Se Fursat Nahi Milti
Hume Ek Pal Ki Raahat Nahi Milti
Mil To Jaata Hai Sab Kuch
Bas Aapki Ek Jhalak Nahi Milti.
270.
Saat Samandar Ka Fasla To Beshak Bahut Bada Hai
Magar Do Dilon Ka Fasla To Itna Chota Hai,
Ke Humein Bhi Takleef Hoti Hai,
Jab Tumhein Dard Hota Hai.
271.
Thoker Khaker Sambhalne Wale,
Jeet He Teri Haar Nahi,
Matlab Ki Ye Sari Duniya He,
Koi Kisi Ka Yaar Nahi.
272.
Jindagi Tere Bin Adhuri Hai.
Najane Kyu Tere Mere Bich Yeh Doori Hai.
Sochta Hum Kabhi Bhulau Tujhko.
Par Teri Ek Muskurahat Meri Majburi Hai.
273.
Jaate Jaate Who Koi Achi Nishani De Gai,
Umar Bhar Dauhra Saku Aisi Kahani De Gai,
Kher Hum To Reh Gaye Pyase,
Par Hamari Palko Ko Who Paani De Gai.
274.
Itna Kuch Khoya Ki Hume Paana Na Aaya,
Pyar Kiya To Jatana Na Aaya.
Aa Gaye Is Dil Mein Pehli Hi Nazar Mein Who,
Kasoor Humara Tha Jo Hume Unke Dil Mein Samana Na Aaya.
275.
Din Tere Khayal Mein Gujar Jata Hai,
Raat Ko Bhi Khayal Tera He Aata Hai.
Kabhi Ye Khayal Is Tarah Bad Jaata Hai Ki
Aaine Mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai.
276.
Hasne Ke Baad Kyu Rulatati Hai Duniya?
Jaane Ke Baad Kyu Bulati Hai Duniya?
Zindagi Main Kya Kuch Baaki Tha Jo
Marne Ke Baad Jalati Hai Duniya.
277.
Pane Se Khone Ka Maza Aur Hai,
Band Aakho Se Dekhne Ka Maza Aur Hai.
Aasu Bane Lafz Aur Lafz Gazal,
Teri Yaadon Ke Saath Jine Ka Maza Kuch Aur Hai.
278.
Zindagi Ek Chahat Ka Silsila Hai,
Koi Mil Gaya Hai, Koi Bichud Gaya Hai,
Jise Maanga Tha Humne Apni Yaadon Mein,
Who Kisi Ko Bina Maange Hi Mil Gaye.
279.
Khaali Shishe Bhi Nishaan Rakhte Hai,
Tute Hue Dil Bhi Armaan Rakhte Hai.
Jo Khamoshi Se Guzar Jaaye,
Who Dariya Bhi Dil Mein Toofan Rakhte Hai.
280.
Dil Ke Rishtey Bhi Ajeeb Hote Hain,
Door Reh Kar Bhi Kareeb Hote Hai.
Jo Log Aapko Roz Dekhte Hai,
Vo Log Kitne Khush Naseeb Hote Hai.
281.
Hum Ne Jab Kabhi Khushi Mehsus Ki,
Har Kadam Pe Aap Ki Kami Mehsus Ki.
Door Reh Kar Bhi Aap Ki Chahat Kam Ha Hui,
Ye Bat Hum Ne Dil Se Mehsus Ki.
282.
Who Ruthe Humse Hum Manane Chale,
Manana Nahi Aata Yehbhul He Gaye.
Manana Humne Kabhi Sikha He Nahi,
Kya Kare Humse Yu Pehle Koi Rutha He Nahi.
283.
Kaash Dil Ki Awaaz Main Itna Asar Ho Jaaye
Hum Jinhein Yaad Karein Unhe Khabar Ho Jaaye
284.
Ek Din Humare Aanson Hum Se Poch Bhaite,
Hume Roj Roj Kyon Bulate Ho?
Humne Kaha Hum Yaad Unhe Karte Hain,
Tum Kyon Chale Aate Ho.
285.
Sukhe Patte Se Pyar Kar Lenge,
Hum Tumahara Aitbaar Kar Lenge.
Tum Yeh To Kaho Hum Tumahare Hai,
Hum Jindagi Bhar Intezaar Kar Lenge.
286.
Pyar Mein Kabhi Kabhi Yeh Hota Hai,
Aankhein Num Aur Dil Rota Hai.
Hum Jise Maante Hain Manzil Apni,
Uska Humsafar Koi Aur Hota Hai.
287.
Vo Humare Nahi To Kya Gam Hai,
Hum To Unhi Ke Hai Ye Kya Kam Hai.
Na Gam Kam Hai Na Aasu Kam Hai,
Dekhte Hai Rulane Wale Mein Kitna Dum Hai.
288.
Hum Kabhi Aap Se Khafa Ho Nahi Sakte,
Pyar Ke Rishte Bewafa Ho Nahi Sakte.
Aap Bhale Hume Bhulake So Jao,
Hum Aap Ko Yaad Kiye Bina So Bhi Nahi Sakte.
289.
Tute Hue Pyalon Mein Jaam Nahi Aata,
Ishq Ke Mariz Ko Aaram Nahi Aata.
Dil Todne Wale Ye Kyu Nahi Samajhte,
Ki Tuta Hua Dil Kisi Ke Kaam Nahi Aata.
290.
Ae Dil Kisi Ki Yaad Mein Rona Fizul Hai,
Aasu Bade Anmol Hai.
Inhe Khona Fizul Hai,
Rowo To Unke Liye Jo Tumpar Nisar Hai.
Unke Liye Kya Roha Jinke Deewane Hazar Hai.
291.
Tadap Ke Dekho Chahat Mein,
To Pata Chale Pyar Kya Hota Hai.
Mil Jaye Har Koi Yuhi Raho Mein,
To Kaise Pata Chale Ki Intezaar Kya Hota Hai.
292.
Ho Sakta Hai Bearish Ke Baad Aasman Neela Na Ho,
Ho Sakta Hai Dhoop Aane Par Sarso Pili Na Ho,
Par Aisa Kaise Ho Sakta Hai Ki Tumhari Yaad Aye Aur Aankhen Gili Na Ho.
293.
Har Kisi Ko Mukkammal Jahaan Nahi Milta,
Kahin Jameen To Kahin Aasman Nahi Milta.
294.
Yeh Mat Sochna Bhool Jayenge Tumhe,
Door Rehkar Bhi Chahenge Tumhe,
Agar Dost Banker Raas Na Aaye,
To Ajnabee Banker Bhi Yaad Aayenge Tumhe.
295.
Kaash Banane Wale Ne Dil Kach Ke Banaye Hote,
Todne Walo Ke Hathon Mein Zakhm To Aaye Hote?..
296.
Humein To Apno Ne Luta,Gairo Mein Kahan Dum Tha,
Meri Kashti Thi Dubi Wahan, Jahan Pani Kam Tha?
297.
Zaruri To Nahi Jine Ke Liye Sahara Ho,
Zaruri To Nahi Hum Jinke Hai Who Humara Ho,
Kuch Kashtiya Dub Bhi Jaya Karti Hai,
Zaruri To Nahi Har Kashti Ka Kinara Ho.
298.
Zubaan Se Naam Lete Hai,
Aankhon Se Aansu Chalak Jaate Hai.
Kabhi Hazaro Baatein Kiya Karte The,
Aaj Ek Baat Ke Liye Taras Jaate Hai.
299.
Suraj Se Kaho Ki Roshni Dena Chod De,
Sitaro Se Kaho Ki Timtimana Chod De,
Agar Tum Nahi Aa Sakte To Apni
Yadoon Se Kaho Humein Satana Chod De?.
300.
Hum Haste Hai To Wo Samajhte Hai Ki Inhe Aadat Hai Muskurane Ki,
Lekin Who Naadan Kya Samajhe Ki Yeh Bhi Ek Ada Hai Gum Chupane Ki?.
301.
Unki Tasviro Ko Seene Se Laga Lete Hai, Is Tarah Judai Ka Gam
Mita Dete Hai, Kisi Tara Kabhi Unka Zikr Ho Jaye To,
Bheegi Palko Ko Juka Lete Hai.
302.
Ek Hi Duniya Mein Rehete Hain, Par Mil Nahi Patte Hain, Aapse To Aapke
Khwaab Hi Ache Hain, Jo Aankh Bandh Karte Hi Chale Aate Hain *
303.
Gham Ne Hasne Na Diya.. Zamane Ne Rone Na Diya,
Is Uljan Ne Chain Se Jine Na Diya, Thak Ke Jab Sitaro Se Panah Lee,
Nind Aye To Teri Yaad Ne Sone Na Diya.
304.
Usko Chaha Bhi To Izhar Karna Na Aaya,
Kat Gayi Umar Sari Hamein Pyar Karna Na Aaya,
Usne Manga Bhi Agar Kuch To Judaai Maangi,
Aur Humein Inkar Bhi Karna Na Aaya.
305.
Socha Naa Tha Hum Dur Ho Jayenge,
Dosti Mein Itna Majboor Ho Jayenge,
Aayegi Jo Aapki Yaad Kabhi,
Aapse Hi Naa Keh Payenge.
306.
Dil Uske Intezar Me Dhadakta Hai,
Ankho Me Pyar Hi Pyar Jhalakta Hai,
Shayad Wo Samajh Le Dil Ki Bat,
Yehi Soch Kar Intezar Karte Rehta Hai!!
307.
Zindagi Nahi Hai Hamein Dostoon Se Pyaari..
Dosto Pe Haazir Hai Jaan Hamari..
Aankhon Mein Hamari Ansoo Hai To Kya...
Jaan Se Bhi Pyaari Hai Dost Muskan Tumhari...
308.
Tumhe Chahne Wale Kam Na Honge,
Waqt Ke Sath Shayad Hum Na Honge,
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Tum Pyaar Dena,
Lekin Tumhari Yaadon Ke Hakdaar Sirf Hum Honge.
309.
Kitna Bebas Hai Insaan Apni Kismat Ke Aage,
Kitna Be-Noor Hai Sapne Hakeeqat Ke Aage,
Koi Ruki Si Dhadkan Se Pooche,
Kitna Tadapta Hai Dil Muhobbat Ke Aage.
310.
Mohabat Sikha Kar Juda Ho Gaye, Na Socha Na Samjha Khafa Ho Gaye,
Duniya Mein Kisko Hum Apna Kahe, Agar Tum Hi Bewafa Ho Gaye.
311.
Chaha To Jindagi Se Bahut Kuch,
Magar Tujhe Pane Ki Ek Pyas Si Reh Gayi,
Chah Kar Bhi Tujhe Pa Na Sake Hum,
Bus Ab Teri Meethi Si Yaad Reh Gayi.
312.
Kaash Hum Bhi Aaina Ka Ek Tukra Hote,
Din Mein Ek Baar To Tere Saamne Hote
313.
Faasle Itne Bhi Honge, Socha Na Tha,
Samne Baitha Hua, Phir Bhi Wo Mera Na Tha.
314.
Cheez Bewafai Se Badkar Kya Hogi,
Gume Halat Judai Se Badkar Kya Hogi,
Jise Deni Ho Saza Umarbhar Ke Liye,
Saza Tanhai Se Badkar Kya Hogi.
315.
Sapno Ki Tarah Aakar Chale Gaye,
Apno Ko Bhulakar Chale Gaye,
Kis Bhul Ki Saja Di Aapne Hame,
Pehle Hasaya Fir Rulakar Chale Gaye.
316.
Maana Ki Aaj Hamare Saath Koi Dildaar Nahin,
Lekin Ye Mat Samajhna Ki Hamein Kisi Se Pyar Nahin,
Kismat Ne Sab Kuchh Diya Hamen,
Sirf Diya Hamara Woh Yaar Nahin.
317.
Dil Lagane Se Pehle Iski Sazaa Jaan Lo Yaaron,
Bhari Mehfil Mein Ye Dil Tod Diya Jata Hai,
Dard Ban Jaati Hai Phir Yaad Us Hassena Ki,
Jiski Chahat Mein Ye Dil Deewana Hota Hai.
318.
Dard Ko Bhi Ab Dard Hone Laga,
Dard Khudi Ghav Bharne Laga,
Dard Ke Mare Hum Na Roye Kabhi,
Dard Khud Humko Chhu Kar Rone Laga.
319.
Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya
320.
Khayalo Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai,
Nigah Ko Kisi Surat Ki Pyas Rahti Hai,
Tere Bin Kisi Cheez Ki Kami To Nahi,
Magar Tere 'Sms Bin' Tabiyat Udaas Rahti Hai.
321.
Zindagi Jaise Ek Saza Si Ho Gayi Hai,
Gam Ke Sagar Me Is Kadar Kho Gayi Ho Tum,
Aajao Wapis Yeh Gujarish Hai Meri,
.....Shayad Mujhe Tumhari Aadat Si Ho Gayi Hai.
322.
Is Dil Se Teri Yaad Bhulai Nahi Jati,
Yeh Pyar Ki Daulat Hai Lutai Nahi Jati,
Mar Mar Ke Banai Hai Jo Tasveer Teri,
Apne In Hathon Se Mitai Nahi Jati.
323.
Koi Wada Nahi Fir Bhi Tera Intzaar Hai,
Judai Ke Bawjood Bhi Tujhse Pyar Hai.
Tere Chehre Ki Udasi De Rahi Hai Wahi,
Mujhse Bichad Ke Tu Bhi Bekrar Hai.
324.
Mujhe Bhulna Bhi Chaho To Bhula Na Sako Ge
Main To Palkon Pe Thahar Jaoon Ga, Aaansoon Ki Tarah?
325.
Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te Nahi
326.
Aansoon Ko Aankhon Ki Dehleez Par Laya Na Karo
Apne Dil Ki Haalat Kisi Ko Bataaya Na Karo
Log Muth-Thi Bhar Namak Liye Ghooma Karte Hain
Apne Zakham Kisi Ko Dikhaaya Na Karo
327.
Tu Chahe Na Chahe, Tere Chahne Ka Gam Nahi,
Tu Dekhe Na Dekhe, Tere Dekhne Ka Gam Nahi,
Mana Tere Pyar Ke Kabil Nahi Hai Hum,
Kadr Pooch Unse Jinhe Hum Haasil Nahi.
328.
Dil Diya To, Jaan Bhi De Dena,
Magar Yeh Yaad Rakhna, Kisiko Dhoka Mat Dena.
329.
Ai Mere Humnashiin Chal Kahiin Aur Chal
Is Chaman Mein Ab Apna Guzaara Nahiin
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Hamara Nahiin
330.
Wo Mere Dil Ko Kuchal Ke Chala Gaya
Anjane Me Muzko Wo Shayar Bana Gaya
331.
Zaalim Tha Voh Aur Zulm Kii Aadat Bhi Bahut Thii
Majaboor The Hum Un Se Muhabbat Bhi Bahut Thii
332.
Hum Aah Bhi Bharte Hai To Ho Jate Hai Badnaam,
Vho Qatl Bhi Karte Hai To Charcha Nahin Hoti.
333.
Ke Marne Ke Baad Bhi Ankhe Khuli Reh Gayee Jo Yaar Ki,
Aadat Si Jo Pad Gai Thi Unhe Hamare Intazar Ki.
334.
Isqa Sabhi Ko Jeena Sikha Deta He,
Wafa K Naam Pe Marna Sikha Deta He...
Isqa Nahi Kiya Ho To Karke Dekho,
Ye Zalim Har Dard Sahna Sikha Deta He......
335.
Ruuth Kar Tum Mujhe Bhulane Lage,
Itne Durr Hue Ke Bahut Yaad Aane Lage,
Kaise Bhuladu Tumhe Ek Pal Mein,
Jab Tujhe Pane Mein Mujhe Zamane Lage?.
336.
Ishq Ke Rishte Kitne Ajib Hote Hai?.
Durr Rehke Bhi Kitne Karib Hote Hai,
Meri Barbadi Ka Gum Na Karo Yaro,
Ye To Apne Apne Nasib Hote Hai?..
337.
Chand Ki Raton Mein Sara Jahan Sota Hai,
Lekin Kisi Ki Yadoon Mein Koi Badnaseeb Rota Hai,
Khuda Kisi Ko Mohabbat Pe Fida Na Kare,
Agar Kare To Kisi Ko Juda Na Kare?.
338.
Zindagi Mohtaz Nahi Manzilo Ki,
Waqt Har Manzil Dikha Deta Hai.
Marta Nahi Ko Kisi Se Juda Hoke,
Waqt Sabko Jina Sikha Deta Hai.
339.
Jo Shaks Dariya Mein Apna Jahaaz Chodne Ko Darta Hai Ke Kahin Toofan Na Bahade Usko,
Use Yeh Bhi Samajhna Chahiye Ke Toofan Zameen Par Bhi Aa Sakta Hai.
340.
Dil Ke Zakhmo Ko Jab Koi Shayri Kahe.
To Dard Nahi Hota;
Takleef To Tab Hoti Hai ,,
Jab Koi Waah Waah Krta Hai!!!!!!!!! !
341.
Zindagi, Manjil, Waqt Kisi Ne Humara Saath Nahi Diya,
Sab Par Se Puri Tarah Bharosa Uth Gaya.
Is Duniya Se Ub Gaya Hai Ab Humara Jiya,
Kisi Ko Kitna Hi Chaha Kam Reh Gaya.
342.
Taron Mein Na Aaj Ravani Hai
Aaj Bhi Jaise Hua Pani Hai
Jiya To Kai Barson Ki Tarah Tha
Sunaya To Laga, Bas Lamhon Ki Kahani Hai
343.
Rasm-E-Ulfat Hi Ijaazat Nahin Deti Warna
Hum Bhi Aisa "Bhoolein" Ke Sada "Yaad" Karogi
344.
Gam Bade Aate Hain..Katil Ki Nighaahon Ki Tarah,
Tum Chupa Lo Mujhe Ae Dost Gunaahon Ki Tarah,
345.
Na Uda Yu Thokaron Se
Meri Khak-E-Kabr Zalim...
Yahe Ek Rehe Gayi Hai
Merey Pyar Ki Nishani
346.
Mana Ye Waqt Hame Yaad Karne Wala Nahi,
Par Bewaqt Hame Yaad Kar Liya Karo...
Mana Aapke Aas Pass Sari Duniya Hai,
Kabhi Hamari Kami Ka Ehsas Bhi Kar Liya Karo...
347.
Kabhi To Tere Shahar Main Kali Ghata Chati Hogi
Kabhi To Taron Ki Shama Jhilmilati Hogi
Duniya Ke Samne Lakh Inkar Kare Magar
Tanhai Main Meri Yaad To Aati Hogi
348.
Outray Jo Zindagi Teri Gehraiyon Mai Hum..
Mehfil Mai Reh Kay Bhi Rahay Tanhayon Mai Hum..
Deewanagi Nahin To Or Kya Kahain?..
Insaan Dhoundtay Rahay Parchayon Mai Hum
349.
Main Jaane Tere Naam Kar Jaaunga
Magar Ruswa Tujhe Jahaan Mein Kar Jaaunga
Tu Roya Karegi Mujhe Yaad Kar Ke
Main Tere Daaman Mein Itna Pyaar Bhar Jaaunga
350.
Hum To Haathon Main Haath
Thame Rahe Saari Raat
Jabki Logon Ne Hamen
Tanha Bhatakte Dekha......
351.
Tumne Kiya Na Yaad Kabhi Bhulkar Haamein,
Humne Tumhari Yaad Mein Sabkutch Bhula Diya.
352.
Ronak-E-Mahfil Ki Jaroorat
Na Hamne Kabhi Mahsoos Ki
Apne Dil Main To Sada
Gamon Se Hi Ujaala Raha.....
353.
Raat Itni Haseen Thi
Ke Saare So Rahe The,
Hum Hi Aise Badnaseeb The
Jo Aap Ki Yaad Me Ro Rahe The!!!
354.
Umar Jalwo Mein Basar Ho Yeh Zaroori To Nehi
Har Shabe Gham Ki Seher Ho Yeh Zaroori To Nehi
Neend To Dard Key Bistar Pey Bhi A Sakti Hai,
Unki Aaghosh Mei Sar Ho Yeh Zaroori To Nehi !!!
355.
Na Tha Wasta Koi Sher Se, Na Tha Shayari Se Ashna
Tere Dard Ne,Tere Yaad Ne ,Muje Sher Kehna Sikha Diya !!!
356.
Toot Jaate Hai Sabhi Rishtey Magar
Dil Se Dil Ka Rabta Apni Jagah..
Dil Ko Hai Tujhse Na Milna Ka Yakeen
Tujhse Milne Ki Dua Apni Jagah!!!
357.
Log Kahte Hain Ki Hame Aadat Hain Muskurane Ki,
Vo Kya Jane, Ye Bhi Ek Ada Hain Gam Chhupane Ki
358.
Apna Dil Apni Tabahi Ka Sabak Hota Hai,
Yeh Jawani Ka Aalam Hi Ajab Hota Hai,
Kaunsi Baat Ne Kiska Dil Tod Diya,
Bolne Waale Ko Ehsaas Hi Kab Hota Hai.
359.
Ulfat Me Kabhi Yeh Haal Hota Hai,
Aankhe Hasti Hain Aur Dil Rota Hai,
Maante Hain Jinhe Hum Manjil Apni,
Humsafar Uska Koi Aur Hota Hai!!
360.
Saans Jab Tak Hai Mere Dil Me,
Tumhara Intezar Kar Lunga,
Tum Khush Raho Is Duniya Me,
Main Gum Se Bhi Pyaar Kar Loonga.
361.
Khayaal Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai,
Nigah Ko Kisi Surat Ki Payas Rehti Hai,
Tere Bina Kisi Cheez Ki Kami To Nahi,
Magar Bin Tere Zindagi Udaas Rehti Hai.
362.
Ruthna Bhool Gaye Hum Jo Aapne Manana Chod Diya
In Ankhon Mein Aansu Aa Gaye Jo Aapne Hasana Chod Diya
Gamo Se Dosti Kar Li Jo Khushiyon Ne Daaman Chod Diya
Dushman Ho Gaye Hain Khud Ke Jo Doston Ne Saath Chod Diya
Zindagi Hi Jaane Lagi Ab To Jo Aapne Aana Chod Diya.
363.
Humne Bhi Chaha Har Manjil Karib Ho,
Har Waqt Aapka Saath Naseeb Ho,
Par Wahan Khuda Bhi Kya Kare,
Jahan Insaan Khud Badnseeb Ho.
364.
Bagair Jane Pahechane Ikrar Na Kijiye,
Muskura Kar Diloko Bekrar Na Kijiye,
Phool Bhi De Jate Hai Zakham Gahere Kabhi Kabhi,
Har Phul Par Yu Aaitbar Na Kijiye.
365.
Waqt To Hume Bhula Chuka Hai,
Kahin Mukaddar Bhi Na Bhula De,
Pyaar Hum Is Liye Nahi Karte,
Kyonki Darte Hain Koi Fir Se Na Rulaa De!!
366.
*Intezaar Ke Lamhe Sholey Mein Badalne Lage Hain,
Hum Unka Intezaar Karne Lage Hain,
Woh Aayi Nahi Abhi Tak Samay Bahot Ho Gaya Hain,
Ab To Hum Ghadi Se Bhi Sharminda Ho Gaye Hain.....
367.
Nafrat Thi Hamse To Izhaar Kyun Kiya?
Dena Tha Zeher To Pyaar Kyun Kiya?
Dekar Zeher Kehte Hain Ke Peena Hi Hoga,
Aur Jab Pee Gaye Zeher, To Kehte Hain Jeena Hi Hoga...
368.
Khushi Mili, Has Na Sake,
Gham Mile To Ro Na Sake,
Zindagi Ka Yahi Hai Dastur,
Jise Chaha Use Pa Na Sake...
Jise Paya Use Chah Na Sake..
369.
Khushi Ko Dhundhne Se Gam Milte Hain,
Yeh Gam Zindagi Main Hardam Milte Hain,
Jo Dil Ke Saare Dard Baat Le,
Aise Log Zindagi Main Kam Milte Hain
370.
Wafa Ke Naam Se Ghabrate Hain
Jidhar Dekho Ghum Hi Ghum Nazar Aate Hain
Dil Ka Dard Aansu Bankar Na Nikle
Isliye Hum Har Wakt Muskurate Hain
371.
Roz Taron Kee Numaa-Ish Mein Khalal Padta Hai
Chand Paagal Hai Andherey Mein Nikal Padta Hai
Unkee Yaad Aayee Hai Saanso Zara Ahista Chalo
Dhadkano Se Bhi Ibaadat Mein Khalal Padta Hai"
372.
Fursat Ki Shaam Dil Ki Uddasi Tumhari Yaad,
Tanhai Mein Bhi Kitna Bada Kaarvaan Hai Saath.
373.
Woh Ek Lafz Ki Khushboo Na Rakh Sake Mehfooz
Hum Unke Haath Sari Kitaab Kya Dete
374.
"Pata Hai Tum Nahi Aaogi, Phir Bhi Maine Apne Ghar Ki Har Deewar Saja Rakkhi Hai;
Pata Hai Tum Meri Nahi, Phir Bhi Maine Yeh Baat Apne Dil Se Chhupa Rakkhi Hai!"
375.
Sirf Dekhke Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti
Mulakat Ho Phir Bhi, Kabhi Barsaat Nahi Hoti
Janti Hoon, Main Kabhi Tumhari Na Ban Paungi
Phir Bhi Is Dil Mein Kabhi Raat Nahi Hoti
376.
Karte Rahe Intezaar Har Ghari, A Dil Humne Ye Kaya Kho Diya
Uth Gaya Yakeen Wafa Se, Jaane Tumne Wo Waada Kyon Kiya
Suraj Nei Hansna Aur Taaron Nei Muskuranaa Chhor Diya
Aag Thee Dil Mei Mohabaat Ki, Usney Bee Ab Jalna Chhor Diya
377.
Usko Chaha Bhi To Iqraar Na Karna Aaya
Kat Gayi Umr, Hamein Pyar Na Karna Aaya
Usney Maanga Bhi Agar Kuch Toh Judaai Maangi
Aur Ek Hum Thay Ke Inkaar Na Karna Aaya
378.
Tamaam Umar Zindagi Se Dur Rahe,
Teri Khusi Ke Liye Apni Khushi Se Dur Rahe,
Ab Isse Badkar Wafa Ki Saja Kya Hogi,
Ki Tere Hokar Bhi Tujhse Dur Rahe.
379.
Lamha Lamha Kiya Intezar Jis Lamhe Ka
Lamha Lamha Kiya Intezar Jis Lamhe Ka
Who Lamha Aaya To Bhi Ek Lamhe Ki Liya...
380.
Main Jaane Tere Naam Kar Jaaunga
Magar Ruswa Tujhe Jahaan Mein Kar Jaaunga
Tu Roya Karegi Mujhe Yaad Kar Ke
Main Tere Daaman Mein Itna Pyaar Bhar Jaaunga
381.
Aansu Ko Bhi Paseene Aaye Hain,
Kya Balaa Hai Khusi Nahin Malum,
Hum To Bus Naam Sunte Aaye Hain..
Ansuo Ka Basera Nazar Aata Nahi.
382.
Teri Yaad Dil Se Mittane Chalaa Hun..
Ke Khud Apni Hasti Mitaane Chalaa Hun..
383.
Sapno Se Dil Lagane Ki Aadat Nahi Rahi,
Har Waqt Muskurane Ki Aadat Nahi Rahi,
Yeh Soch Kar Ke Koi Manane Nahi Aayega,
Ab Hume Rooth Jaane Ki Aadat Nahi Rahi.
Please comment if you like this post!
An AwaazBandh Presentation!