Latest News:

 

Software Ke Phool!

Guru Dutt is reborn and sets up a Software firm.
He makes a film, called ‘Software ke phool’.
Sahir Sahab likewise revises his old song for the new venture.

It goes like:

yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya,
yeh insaan ke dushman, cursors ki duniya
yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya;
yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?

yahaan ek khilona hai programmer ki hasti
yeh basti hai murda bug-fixers ki basti
yahaan par to raises hai, inflation se sasti
yeh Review agar ho bhi jaaye to kya hai?

har ek keyboard ghayal, har ek login pyaasi
excel mein uljhan, winword mein udaasi,
yeh office hai ya aalame microsoft ki
yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?

jalaa do ise, phoonk daalo yeh monitor mere saamne se
hataa daalo yeh modem tumhaara hai tumhi sambhaalo
yeh computer yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?


Please comment if you like this post!
An AwaazBandh Presentation!

Digg It! Add to del.icio.us Stumble This

Posted in Labels: |

2 comments:

  1. Aslam Says:

    Bahot Khub bawa, Maza a gaya

  2. cybernews editor Says:

    kya baat hai ? sahi hai bhidu