Latest News:

 

Hindi Ghazals!

Kaash hum tum ajnabi hote,
Jis tarhan log hua karte hein…
Be taAlluq sey, be taArruff sey.
Kaash hum tum ajnabi hote!

Be qaraari na be kali hoti,
Na mukammal, na Zindagi hoti…
Yun na hoti azyatein Dil mein.
Zindagi bhi na hoti mushkil mein!

Aansu’on se na dosti karte,
Apne Dil se na dushmani karte…
Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte,

Dil uspe fidaa ho Gaya hai,
usmein kuch to alag si baat haiWo sabse judaa hai duniya mein,
Usmein kuch to alag si baat hai.

Chanchal mukhda bholi adaayein,
Aur hothon par gulaab hain
Reshmi zulfein pyaari baatein,
Aur aankhon mein shraab hai.

Wo meri dhadkan mein rahti hai,
Usmein kuch to alag si baat hai.Hirni si chaal gorein hain gaal,
Baton mein uski jaadu bhara hai

Dil hai beqaabu uska hai jaadu,
Jeene ka mere WO hi aasra hai.Har dil ki tamanna hai WO hasi,
Usmein kuch to alag si baat hai.

Wo hanse to phool khile,
Bole to ras ki fuhaar udeyMeri zindgi hai WO uski saanso se
Meri saanso ke taar judey

Uska naam lekar dil dhadkta hai
usmein kuch to alag si baat hai.



Didn't like the article, found a mistake or just have your own opinion? WE LOVE feedback!
An AwaazBandh Presentation!

Digg It! Add to del.icio.us Stumble This

Posted in Labels: |

0 comments: